Gajendra Bhatt September 7, 2012 Likhne ka shauk bachpan se tha lekin kuchh mood hi nahin ban raha tha in dino, so tahalte-tahalte railway station ke platform par ja pahuncha. Do jano ko wahan ladte dekha to mein bhi pas mein chala gaya. Dono mein se ek S (Upper class) bola- "Lekin mein yahaan majdoori kyon nahin kar sakta, mein bhi to majdoor hun". Doosre majdoor R (Reserved class) ne kaha- "Kyonki ye jagah hum logon ke liye reserved hai. Tumhare varg ke majdoor platform ke bahar majdoori kar sakte hain." S (samanya varg ka) bola- "Lekin bhaiya, platform ke bahar passenger bhi kam milenge aur paisa bhi kam milega?" R (reserve varg ka)- "Ye tumhari problem hai. Akhbar nahin padhte kya? Sarkar se puchho. Aur han ye bhaiya- bhaiya kya hota hai, aukaat mein rehkar baat karo." Paas hi khada R ka saathi ( Reserved class) bola- "Akhbar kaise padhega, school mein admission milta to padhta na. ha ha ha ha..." S mayoo